Sunday 31 August 2014

Kya Khoob The Wo Din - Eclectika 2k13

Kaviyo k baare me bata du ki..

Kaviyo k 3 dushmano ka gyan to hona hi chahiye..
1.Ande 2.Tamaatar 3. Joote..

Par mehengai ne aam admi ki jeb ko aisa marooda hai
Ande tamatar door ki baat, dhaniya layak nahi choda hai
                 //Toh bach gaye bas joote

Jooto par likhna bade saahas ka kam hai
Iski qabiliyat ko mera dil se salaam hai..

Kyuki..
Joota sansadiya hai, sansad me chalta hai..
Yahi to wo hathiyar hai jo bina liscence milta hai

Pairo me pehno to hai pairo ka gehna
Haatho me aa jaye laale fir to kya kehna

Joote aur insaan ka, yahi samikaran nikalta hai..
             
Ki joote aur insaan ka, yahi samikaran nikalta hai..
Kabhi aadmi joote par, kabhi aadmi pe joota chalta hai..
             
To aaj yaha apke samne, sunaakar apna raag jaunga..
Aur kisi ne joota feka gar.. Kasam se joota lekar bhag jaunga
             //Ab fek k dikhaao

Aage jo sunaane ja raha hu wo kavita mere mere college ke pehle saal pe adhaarit hai,
Mujhe ummeed hai, ki in panktiyo me ap kahi na kahi khud ko paaoge,

Title hai, Kya khoob the wo din..

Kya khoob the wo din.. Jab josh me college aate the
Late ho b jaye agar, to bhilai ka bahana banate the..

Kya khoob the wo din.. Jab computer lab jate the
Teacher na ho lab me agr, to book kholk baith jate the..
 Faculty members soch rahe honge mai kis book ki baat kar raha hu, MAI FACEBOOK KI BAAT KAR RAHA HU


Chemistry practical me.. Jab test tube toot jaate the..
Teacher k dekhne se pehle usko wash basin me bahate the..

Kya khoob the wo din.. Jab communication skills sikhate the..
Samne wale speech dete the.. Peeche wale khurrrrrrrrr... So jate the

Kya khoob the wo din.. Jab ed ki sheet banate the..
Mini drafter kon set kare.. Hum to roller scale chalate the..

Electrical ki lab me.. Bas taar jodna padta tha...
Aur mechanical ki reading k liye.. Bas wazan tolna padta tha..

Agli lines k liye taiyar rehna ye civil lab pe hai..

Kya khoob the wo din.. Jab civil lab hum jaate the..
Compass kholna nahi aata tha.. Par survey kar ke aate the..

Aaj bhi wo pal yaad karu to
Man mera muskaata hai
Chand saal beet gaye ho zaroor
Par yaad samay wo aata hai

Kuch yaadein yaad hai, Kuch kho gayi haai...
Taaliya baja bhi do kavita khatm ho gayi hai...
   

No comments:

Post a Comment