Sunday 31 August 2014

Kaviyo ki Chai

Ek kavita pesh karta hu, aur chai k kisse sunaata hu,
Dekhiye kaviyo ki chai kaisi hoti hai

College aate hi yaad aaye wo subah ki chay
Chalo aaj bhi wo chai canteen me pi jaye

Nikaal k thodi si fursat, chod k saare kaam..
Deta tha canteen me dastak, aur kehta tha Raam Raam

Sunaakar koi dilchasp si baat,
Chai peeta tha dosto k sath

Un dino canteen me lakhan bhaiya kaam karte hai aur aunty chai banati thi

Kehta tha aunty k hatho me jaadu hai yaar
Har din prakat karta tha yahi vichaar
Aunty mere shabd sun sun mand mand muskaati thi
Jab bhi canteen padhaaru, badhia chai pilati thi

Muft ki chai me kaam chalaata tha
Parking ki parchi k paise bachata tha

Dheere dheere lakhan bhaiya mujhe jaan gaye..
Muftkhori meri wo pehchan gaye
Fir hona kya tha, ulti hawaein chalne lagi
Paristithi tezi se badalne lagi

Fir jab bhi canteen jata tha..
Aur mast kissa sunaata tha
Wo kehte kissa to ekdum sahi hai..
Par Abhishek Babu.. Chai patti nahi hai

Maine socha isse pehle paristithi aur bigadti jaaye
Chai k liye nayi tikdam rachi jaaye

Pucha maine lakhan bhaiya se,
Yaad hai apan kab mile the???

Wo bhi shayar kism ka insaan nikla, bola..

Us din ghar se nikalte hi
Cheenk mujhe bekhabar aayi..
Thoda aage chala jo mai
To kaali billi nazar aayi..
Mai ye sab maanta na tha, so aage badhta gaya...
                                     Bassssss... Us hi din meri mujhse teri mulaqaat ho gayi.....
                                     AUR TAB SE MAI KATTAR  ANDHVISHWASI  HOON

Maano ya na maano
Baat kar raha hu ekdum khari ekdum sach...
Aur kavita padhne k liye
Thank u very very much.. 

No comments:

Post a Comment